A mother who has lost her son and wants God to give her one last chance and revive his son to life and this time she will protect him and not let him go.
Aa Jaye wo laut ke ikk baar,
Chupa lungi sabki nighahon se,
Hasna Chahe wo khulkar toh chupa lungi apni hasi me,
Rona chahega wo zor se agar, toh ro dungi sang uske,
Par Sunn na sake koi usko, na dekh sake koi,
Iss baar na jaane dungi, Iss baar na jane dungi.
Khali hun mai jo wo na hai mere pas,
kuch nahi hai bus Dhuaan hai aur hai kaali raat,
Na hi wajood mera, na hi koi maksad,
Par jeena hai, wo bhi jiyega,
Bus aa jaye laut ke wo ik bar,
Iss baar na jaane dungi, Iss baar na jaane dungi.
Sookh gaye hain honth mere, kaali padi ye aankhe,
Saanse bhi anjaan huin, Mann bhi taake Jhanke,
Le jao sab mera, par le aao jaan meri,
Kar do tukda tukda, par poora kardo chaand mera,
Meri ikk ikk saans se bhar dungi usme jaan,
Jo aa jaye wo laut ke ikk baar,
Iss baar na jaaane dungi, Iss baar na jaane dungi!
- By Priyanka Charak