Sunday 3 May 2020

Ishq ka Rang

Ishk ka rang koi bhi ho sakta hai
Laal ho ya kaala, rang chad hi jata hai
Fir Jeevan bhar khilta hai, khilkhilata hai
Insaan-e-shaksiyat banata hai
Hasata hai , rulaata bhi hai
Par kya rooh se nikal pata hai? Ya kya rooh nikaal pati hai uss ishk ke rang ko?
Nikalna kyu? Rang hai daag nahi 🙂
Socho. Kya ab tak berang ho aap ya rang nikalne ka naam nhi le raha? 😇
Kya rang hai apke ishk ka?

No comments:

Post a Comment