Pyar ne mujhe darbadar kiya,
Kabhi iss kadar kiya, kabhi us kadar kiya
Kabhi iss kadar kiya, kabhi us kadar kiya
Tadap...
Tadap rahi hai rooh, jism bhi jal raha hai
Ae khuda tu ye kya kar rha hai
Tadap rahi hai rooh, jism bhi jal raha hai
Ae khuda tu ye kya kar rha hai
Thodi doori , thodi footi kismat, thode khawab toote , thodi dabi himmat
Khwab hi toh hain, sach hon ye zaruri nahi,
Zaruri to ye bhi nhi ki saans li jaye
Par be-aas rehna zaruri hai majboori toh nhi
Ho paya to kar lena yaad, rakh lena yaadien
Mai kaunsa wakt hu jo badal jaunga
Wakt aa gya hai, wakt aa gya hai badal jaane ka, bhulaane ka, bhad jane ka
Mai toh zameen-e-aasmaan hun, kaunsa pighal jaunga
Mai kaunsa wakt hu jo badal jaunga
Wakt aa gya hai, wakt aa gya hai badal jaane ka, bhulaane ka, bhad jane ka
Mai toh zameen-e-aasmaan hun, kaunsa pighal jaunga
Andhera hai to hai, roshni ko aane se kyu rok rhe ho
Jab jana tha chale gaye, ab mere bulaane ko kyu tok rahe ho
Jab jana tha chale gaye, ab mere bulaane ko kyu tok rahe ho
Kal aur kal ki shakal me nakal zaroor hai par sach hai ye ki inme farak huzoor hai
Ab ,wo kal , ye kal me kya rakha yaara
Uss pal iss pal me tumhari yaad to mash-hoor hai!
Ab ,wo kal , ye kal me kya rakha yaara
Uss pal iss pal me tumhari yaad to mash-hoor hai!
No comments:
Post a Comment