Sunday 3 May 2020


Main aur Mera neela Sirhana aksar teri baatein kiya karte hain,
Kuch kahaniyan hain uske pas sunaane ko
Purani si hain par kafi hain ik naye intezar ki aas jagaane ko

Kabhi bura khwab aaye to jakad leti hu isko
Kabhi yaad aati hai tumhari to pakad leti hun isko
Seene me daba rehta hai jaise dil ho mera
Guftagoo karte hain hum dono gupchup kabhi,
latife bhi suna deta hai jaise mukabil ho tera

In gehri raato me mera neela sirahna saathi hai,
Tu na bhi raha to kya hua , ab to neela rang tera hai, bus rang rang hi reh jaye kafi hai


Mai aur mera neela sirahna aksar teri baatein kiya karte hain...
Thoda thoda hi sahi par bahut zada tujhe yaad kiya karte hain...



Mukabil: equivalent
Latife: Jokes

No comments:

Post a Comment